II Shree Shivrartri Ki Aarti II



Aagyi Mahashivratri padharo Shankarji,
Ho padharo Shankarji, Aarti utare paar
Utaro Shankarji, ho utaro Shankarji
Tum nayan nayanme ho man man me dham tera.
He Neelkanth hai kanth kanth me naam tera,
Ho Devon ke Dev jagat ke pyare Shankarji.
Tum raj mahal me, Tum hi bikhari ke ghar me,
Dharti per tera charan mukut hai ambar pe.
Sansar Tumhara ek hamare Shankarji,
Tum duniya besa kar bharam ramane wale ho.
Papi ke bhi rakhwale bhole bhale ho,
Duniya me bhi do din to gujaro Shankarji.
Kya bhent cherhaye tan maila ghar suna hai,
Le lo aansoo ke gangajal ka namuna hai.
Aakerke nayan me charan pakharo Shankarji.
About Shivratri:
It is believed that chanting the Names of Shiva (Om Namah Shivaya) during Shivaratri, with perfect devotion and concentration, will free one from all the sins.

By Unknown on Sunday 19 July 2015 | A comment?
0 responses to “ II Shree Shivrartri Ki Aarti II”

Leave a Reply